May 18, 2008

dard main bheegay lab muskara jaatay hain
beetay lamhay humain jub bhi yaad aatay hain

chand lamhaat kay wastay hi sahi
muskara ker mili thi mujhay zindagi
teri aaghosh main din they meray katay
teri baanhon thi meri ratain kati

aaj bhi jub woh pal mujh ko yaad aatay hain
dil say saaray ghamon ko bhula jaatay hain

meray kandahay pay sir ko jhukana tera
meeray seenay main khud ko chupana tera
aakay meri panahon main shaam o sahar
kaanch ki tarah woh toot jana tera

aaj bhi jub woh manzar nazar aatay hain
dil ki weeranion ko mita jatay hain