meri yaad main tum
na aansoo bahana
na jee ko jalana
mujhay bhool jana
samajhna keh tha
aik sapna suhana
woh guzra zamana
mujhay bhool jana
juda teri mazil
juda meri rahain
milengi na ab
teri meri nigahain
mujhay teri dunya say
hay duur jana
na jee ko jalana
mujhay bhool jana
yeh ro ro keh kehta hay
toota howa dil
nahin hoon main teri
mohabbat ke qabil
mera nam tak apnay
lub peh na lana
na jee ko jalana
mujhay bhool jana