April 20, 2005

ajab din thay muhabbat kay
ajab mosam thay chahat kay
kabhi gar yaad aa jayain to palkon per sitaray jhilmilatay hain
kisi ki yaad main raton ko aksar jaagna maamool tha apna
kabhi gar neend aa jati to hum yeh soch laitay thay
abhi to woh hamaray wastay roya nahin hoga
abhi soya nahin hoga
abhi hum bhi nahin rotay
abhi hum bhi nahin sotay
so phir hum jaagtay aur us ko yaad kertay thay
akelay baith ker weeraan dil abad kertay thay
hamaray samnay taron kay jhurmat main akela chand hota tha
jo us kay husn kay agay buhut hi maand hota tha
falak per raqs kertay unginat roshan sitaron ko
jo hum tarteeb daitay thay
to us ka naam banta tha
hum aglay roz miltay to guzri raat ki her bay kali ka zikr kertay thay
her ik qisa sunatay thay
kahan, kis waqt, kis tarah say dil dharka batatay thay
main jub kehta keh "janan aaj to main raat ko ik pal nahin soya"
to woh khamosh rehti thi
per us ki neend main doobi howi do jheel si aankhain
achanak bol uthti thein
main jub us ko batata tha
keh "main nay raat ko roshan sitaron main tumhara naam daikha hay"
to woh kehti thi
"razi tum jhoot kehtay ho
sitaray main nay daikhay thay
aur un roshan sitaron main tumhara naam likha tha"
ajab maasoom larki thi
mujhay kehti thi
"lagta hay keh ab apnay sitaray mil hi jayain gay"
magar us ko khabar kia thi
kinaray mil nahin saktay
muhabbat ki kahani main
muhabbat kernay walon kay
sitaray mil nahin saktay

No comments: