September 12, 2006

tum duur thay
to kia howa
tum mil gaye
to kia howa
wiranian kum na howien
tanha tha main
tanha raha

ek aas thi
tum aao gay
to zindagi khil jaye gi
ek baar dekho gay idhar
to roshni mil jaye gi
jub aa gaye to kia howa
aankhain meeri
jalti rahein
aur dil mera
bujhta gaya

yeh to koi
milna nahin
keh faslay hon darmian
khamoshian donon taraf
tanhaiyan donon taraf
ho rasta to aik hi
per hamsafar hon ajnabi
kis kaam ka jeena howa

No comments: