December 05, 2006

saye main us kay barson ka jaga
main so jaon
us ki sajti sanwarti dhanak main
main ghar banaon
apnay ghar main kayi chaand taray utaaron sajaon
khushbuon say bharay raston main kho jaon

rung us kay baarish main dhul kay hain khiltay
aur nikhartay
roop us kay zameenon kay chehron say miltay
aur damaktay
us kay andaaz jaisay hain mosam
aatay jaatay
us kay sub rung hanstay hanstay
jagmagaatay

No comments: