February 28, 2017

Gar mujhay is ka yaqeen ho 
meray humdum, meray dost


Gar mujhay is ka yaqeen ho 
kay teray dil ki thakan
Teri aankhon ki udaasi, 
teray seenay ki jalan
Meri diljoi, 
meray piyar say mit jaye gi


Gar mera harf-e-tasalli 
woh dawa ho jis say
Ji uthay phir tera ujra hua benoor dimagh
Teri peshaani say dhul jayain 
yeh tazleel kay daagh
Teri beemar jawani ko shifa hojaye


Gar mujhay is ka yaqeen ho 
meray humdum, meray dost
Roaz-o-shab, 
shaam-o-sehar 
main tujhay behlata rahun


Main tujhay geet sunata rahun 
halkay, sheereen
Aabshaaron kay,
baharon kay,
chaman zaaron kay geet
Aamad-e-subh kay,
mehtaab kay,
sayyiaron kay geet


Tujh say main husn-o-mohabbat ki hikayaat kahun...

Kesay maghroor haseenaon kay barfaab say jism
Garm haathon ki hararat mai pighal jatay hain


Kesay aik chehray kay thehray hue maanoos nuqoosh
Dekhtay dekhtay yaklakht badal jatay hain


Kis tarah aariz-e-mehboob ka shaffaf bilour
Yak bayak baada-e-ehmar say dehak jata hai


Kesay gulcheen kay liye jhukti hai khud shaakh-e-gulab
Kis tarah raat ka aiwaan mehak jata hai


Yunhi gata rahun, gata rahun teri khaatir
Geet bunta rahun, betha rahun teri khatir


Per meray geet teray dukh ka mudaawa hi nahi
Naghma jarraah nahi, monis-o-ghamkhuwaar sahi


Geet nashtar to nahi, marham-e-azaar sahi
Teray azaar ka chaara nahi, nashtar kay siwa


Aur yeh saffak maseeha meray qabzay mai nahi
Is jahaan kay kisi zirooh kay qabzay mai nahi
Haan magar teray siwa, 
teray siwa,
teray siwa!

No comments: