May 13, 2005

agar kabhi meri yaad aaye
to chand raton ki dilgeer roshni main
kisi sitaray ko daikh laina
agar woh nakhl-e-falak say ur ker
tumharay qadmon main aa giray
to yeh jaan laina
woh istaara tha meray dil ka
agar na aaye....
magar yeh mumkin hi kis tarah hay
keh kisi per nigah dalo
to us ki deewar-e-jaan na tootay
woh apni hasti na bhool jaye...

agar kabhi meri yaad aaye
garaiz kerti hawa ki lehron peh haath rakhna
main khushbuon main tumhain milon ga
mujhay gulabon ki pation main talash kerna
main aus qatray kay aayinay main tumhain milon ga
agar sitaron main, aus khushbuon main
nay pao mujh ko
to apnay qadmon main daikh laina
main gard hoti musafaton main tumhain milon ga
kahin peh roshan charagh dekho to jaan laina
keh her patangay keh saath main bhi sulag chuka hoon
tum apnay hathon say un patangon ki khaak
daria main daal daina
main khaak bun ker samundaron main safar karoon ga
kisi na daikhay howay jazeeray per ruk ker
tumhain sadayain doon ga
samundaron kay safar per niklo
to us jazeeray peh bhi utarna

No comments: