June 19, 2006

muhabbat to hum nain bhi ki thi
josh main nahin
hosh main ki thi
hamain ma'aloom tha
woh kabhi
hamara nahin ho sakta
jeenay ka
sahara nahin ho sakta
us ka meray saath
guzara nahin ho sakta
jeewan ki andheri raat main
sawera nahin ho sakta
yeh jaan ker bhi
sub kuch pechaan ker bhi
us ajnabi say
muhabbat hum nain ki thi

hamain pata tha
is muhabbat ka anjaam
gham kay siwa
kuch nahin hoga
zindagi ki weeran rahon main
kaanton kay siwa
kuch nahin hoga
meray khwaabon main
us chand say chehray kay siwa
kuch nahin hoga
har pal khayalon main
un jheel si aankhon kay siwa
kuch nahin hoga
aur meri aankhon main
aansoon kay siwa
kuch nahin hoga
phir bhi janay kyon
us jalti howi aag say
muhabbat hum nain ki thi
jaan boojh ker
soch samajh ker ki thi

No comments: